top of page
  • Writer's pictureNiedhie

Parinaam kya?

Updated: Dec 22, 2022


Ro raha hai dil, Ankhen nam hai, Kya sthiti hai duniya ki, Aatank mein fase hum hai.

Ek jut hona hoga hume, Yeh ek kathin yuddh hai, Shatru mansik bimaar hai, Saari chaal atah bekar hai.

Masoom log kyun nishane par? Jo apne balidan ki vajah se anjaan hai, Unhe maarkar kya milega, Jo tumhare maksad se nadaan hai?

Ladai to barabar walo mein hoti hai, Nihatte par to kayar vaar karte hai, Udeshya aur parinaam kya hai is khoon ka, Yeh jaanne ka haq har ek shahid rakhte hai.

Kya chahte ho tum, kyun yeh hahakar hai? Chahe building urao, underground jalao, Bandi banao, goli chalao, Sab bekar hai agar maksad naa batao.

Aatank machana, darr paida karna, Videshiyon ko maarna, dharm ko kalankit karna, Aur ant mein apni jaan bhi gawana, Kis kaaran ke mol hai, yeh to batana?

Kyun naa is pagalpan se upar uthkar, Kabiliyat ke dam par duniya mein jiyo, Saaf aur sachche mann se dekhoge, To har manav mein ishwar nazar aayenge… Aur tab kya tum goli chala paoge?

1 view0 comments

Related Posts

See All
bottom of page