top of page
  • Writer's pictureNiedhie

Paisa paisa paisa

Updated: Dec 23, 2022


Aao sab mile bhed bhao mitakar, Purani ranjhisho mein aakhir rakkha kya Kuchh tum apni sunao, kuchh hum sunaye Kyunki zindagi na milegi dobara!

Kehta hai mera dil mujhse ki tum achchhe ho, Duniya ke bhatkaye raste par bhatak gaye ho, Paise ki lalach chhodo, paisa to maya hai Jeewan mein khush rehna hai to milkar jiyo.

Mujhe nahi woh din yaad jab tum pehle aise the, Kya hua aisa ki tumhe sabka pyar dhikhta nahi ab Baki sab jaise the waise hi hai, par tum badal gaye Pehle wale tum bankar laut aaoge kab?

Jeewan ke har padao ko samaan roop se jiyo, Apno ko dookh dene wala sookhi rehta hai kya, Jaise karoge aaj waisa aage khud bhi to bharoge Itni saral baat samajhna itna kathin hai kya?

Samajhdar ho tum padhe likhe bhi ho, Dikhta nahi kya tumhe kaisi galtiyan kar rahe ho? Apno ka saath to kismat walo ko milta hai Uski paise ke naam par aahuti chada rahe ho?

Paisa paisa, hai paisa, kaisi banayi insaan ne aapda, Na ho to dookh, jyada ho to pareshani, Sari samasyaon ki jad hai aaj paisa Jiske peechhe bhaag rahi yeh duniya bani diwani!!!

1 view0 comments

Related Posts

See All
bottom of page